Showing posts with label Farhan Akhtar. Show all posts
Showing posts with label Farhan Akhtar. Show all posts

Rock On!!

Dil kya kehta hai mera kya main bataun
Tum ye samjhoge shayad main pagal hai
Dil kya kehta hai mera kya main bataun
Tum ye samjhoge shayad main pagal hai
Dil karta hai TV tower pe main chadh jaaun
Chilla chilla ke main ye sab se keh doon
Rock on, hai ye waqt ka ishara
Rock on, har lamha pukara
Rock on, yunhi dekhta hai kya tu
Rock on, zindagi milegi na dobaraa...

Dil karta hai sadkon par zor se gaaun
Sab apne apne ghar ki khidki kholen
Phir main aise joshile geet sunaun
Mere Geeton ko sun ke sab ye bolen
Rock on, hai ye waqt ka ishara
Rock on, har lamha pukara
Rock on, yunhi dekhta hai kya tu
Rock on, zindagi milegi na dobaraa...

Jaise jeene ko dil chaahe jee waise tu
Meri to hai bas ye raay ki
Apne jitne bhi armaan hain poore kar le tu..

Rock on
, hai ye waqt ka ishara
Rock on, har lamha pukara
Rock on, yunhi dekhta hai kya tu
Rock on, zindagi milegi na dobara..

Rock on, hai ye waqt ka ishara
Rock on, har lamha pukara
Rock on, yunhi dekhta hai kya tu
Rock on, zindagi milegi na dobaraaa.....

singer: Farhan Akhtar (bold letters: chorus)
music: Shankar Ehsaan Loy
lyrics: Javed Akhtar
album: Rock On!!

Posted in Labels: , , |

Pichle Saat dinon mein maine khoya (Rock On!!)

meri laundry ka ek bill
ik aadhi padhi novel
ek ladki ka phone number
mere kaam ka ek paper
mere, taash se heart ka king
mera, ik chaandi ka ring
pichhle saat dinon mein maine khoya
kabhi khud pe hansa main,
aur
kabhi khud pe roya

present mili ek ghadi
pyaari thi mujhe badi
meri jeb ka ek packet
meri denim ki jacket
do one-day match ke passes
mere naye naye sunglasses
pichhle saat dinon mein maine khoya
kabhi khud pe hansa main,
aur
kabhi khud pe roya

kaise, bhoolun, saatva jo din aaya
kisi ne, tumse, ik party mein milwaaya
kaisa, pal tha, jis pal maine tumko pehli baar dekha tha
hum jo mile pehli baar
maine jaanaa kya hai pyaar
maine hosh bhi khoya dil bhi khoya
kabhi khud pe hansa main,
aur
kabhi khud pe roya
maine pichhle saat dino mein
ye sab hai, khoya..

singer: Farhan Akhtar
music: Shankar Ehsaan Loy
lyrics: Javed Akhtar
album: Rock On!!

Posted in Labels: , , |

Socha hai (Rock On!!)

aasma hai neela kyun
paani geela geela kyun
gol kyun hai zamee
silk mein hai narmi kyun
aag mein hai garmi kyun
do aur do paanch kyun nahi

ped ho gaye kam kyun
teen hain ye mausam kyun
chaand do kyun nahi
duniya mein hai jung kyun
behta laal rang kyun
sarhaden hain kyun har kahin
socha hai... ye tumne kya kabhi
socha hai... ki hain ye kya sabhi
socha nahi to socho abhi

behti kyun hai har nadi
hoti kya hai roshni
barf girti hai kyun
dost kyun hain roothte
taare kyun hain toot-te
baadlon mein bijli hai kyun
socha hai... ye tumne kya kabhi
socha hai... ki hain ye kya sabhi
socha nahi to socho abhi

sannata sunai nahi deta
aur hawayen dikhayi nahi deti
scha hai kya kabhi
hota hai ye kyun............

aasma hai neela kyun
paani geela geela kyun
gol kyu hai zamee
silk mein hai narmi kyun
aag mein hai garmi kyun
do aur do paanch kyun nahi

ped ho gaye kam kyun
teen hain ye mausam kyun
chaand do kyun nahi
duniya mein hai jung kyun
behta laal rang kyun
sarhaden hain kyun har kahin
socha hai... ye tumne kya kabhi
socha hai... ki hain ye kya sabhi
socha nahi to socho abhi......

singer: Farhan Akhtar
music: Shankar Ehsaan Loy
lyrics: Javed Akhtar
album: Rock On!!

Posted in Labels: , , |
 
Your Ad Here